اردو हिंदी
Nazar ko waqf-e-hairat kar diya hai | Shaahi Shayari
nazar ko waqf-e-hairat kar diya hai

Ghazal

Nazar ko waqf-e-hairat kar diya hai

Aslam Kolsarii

;

nazar ko waqf-e-hairat kar diya hai
use bhi dil se ruKHsat kar diya hai

barae-nam tha aaram jis ko
ghazal kah kar musibat kar diya hai

samajhte hain kahan patthar kisi ki
magar itmam-e-hujjat kar diya hai

gali-kuchon mein jalti raushni ne
hasin shamon ko shamat kar diya hai

basirat ek daulat hi thi aaKHir
so daulat ko basirat kar diya hai

kai hamdam nikal aae hain jab se
zaban ko sirf ghibat kar diya hai

suKHan ke bab mein bhi hum ne 'aslam'
jo karna tha ba-ujlat kar diya hai