nazar ko tir kar ke raushni ko dekhne ka
saliqa hai hamein bhi zindagi ko dekhne ka
kisi jalte hue lamhe pe apne honT rakh do
agar hai shauq jamid KHamushi ko dekhne ka
samaat mein khanakti raushni se ho gaya hai
do-baala lutf miTTi ki nami ko dekhne ka
na jaane lauT kar kab aaega mausam KHajista
teri aankhon ki shaista hansi ko dekhne ka
suna hai shauq tha un ko hunar aata nahin tha
sunahre zehn ki waraftagi ko dekhne ka
yaqin aata nahin lekin mila tha ek mauqa
shagufta shahr ki be-manzari ko dekhne ka
baDa arman tha 'sajid' tumhein kya Dar gae kya
shab-e-taban hawa ki KHud-kushi ko dekhne ka
Ghazal
Nazar ko tir kar ke raushni ko dekhne ka
Sajid Hameed