nazar ko hamil-e-barq-e-jamal kar na saka
ghurur-e-husn ko main paemal kar na saka
wo aane wale zamane ko kya banega
jo aaj tak mere mazi ko haal kar na saka
shikast-e-dil ka mere raaz aap kya jaanen
malal hi na hua ya malal kar na saka
mujhe latif sitam se karam ke pardon mein
kuchh us ne aise miTaya malal kar na saka
hujum-e-gham raha 'naKHshab' magar main apne liye
sharab-o-shahid-o-naghma halal kar na saka
Ghazal
Nazar ko hamil-e-barq-e-jamal kar na saka
Nakhshab Jaarchawi