nazar ko bhae jo manzar pahan ke nikla hai
dhanak wo apne badan par pahan ke nikla hai
main aaina hun magar pattharon se kah dena
ek aaina hai jo patthar pahan ke nikla hai
wo apni aankh ki uryaniyat chhupane ko
haya ki aankh pe chadar pahan ke nikla hai
chhupa ke rakhta to tu bhi hawas se bach jata
magar tu husn ka zewar pahan ke nikla hai
zamana us ko kabhi bhi Dara nahin sakta
KHuda ka KHauf jo dil par pahan ke nikla hai
kulah sar pe nahin munsif-e-zamana ke
wo apne sar pe mera sar pahan ke nikla hai
Ghazal
Nazar ko bhae jo manzar pahan ke nikla hai
Mohsin Aftab Kelapuri