اردو हिंदी
Nazar ko aaina dil ko tera shana bana denge | Shaahi Shayari
nazar ko aaina dil ko tera shana bana denge

Ghazal

Nazar ko aaina dil ko tera shana bana denge

Kaleem Aajiz

;

nazar ko aaina dil ko tera shana bana denge
tujhe hum kya se kya ai zulf-e-jaanana bana denge

hamin achchha hai ban jaen sarapa sarguzisht apni
nahin to log jo chahenge afsana bana denge

umid aisi na thi mahfil ke arbab-e-basirat se
gunah-e-shama ko bhi jurm-e-parwana bana denge

hamein to fikr dil-sazi ki hai dil hai to duniya hai
sanam pahle bana den phir sanam-KHana bana denge

na itna chheD kar ai waqt diwana bana hum ko
hue diwane hum to sab ko diwana bana denge

na jaane kitne dil ban jaenge ek dil ke TukDe se
wo toDen aaina hum aaina-KHana bana denge