اردو हिंदी
Nazar ki wusaton mein kul jahan tha | Shaahi Shayari
nazar ki wusaton mein kul jahan tha

Ghazal

Nazar ki wusaton mein kul jahan tha

Abdul Mannan Samadi

;

nazar ki wusaton mein kul jahan tha
zamin se dur kitna aasman tha

meri kashti bhanwar mein Dub jati
hawa ki mad pe lekin baadban tha

main us ki harf-giri kar na paya
wo meri zindagi ka raazdan tha

tujhe pa kar tujhe khoya hai hum ne
yahi to zindagi ka imtihan tha

wahi gum ho gaya raste mein shayad
jo rahbar tha jo mir-e-karwan tha