اردو हिंदी
Nazar ki fath kabhi qalb ki shikast lage | Shaahi Shayari
nazar ki fath kabhi qalb ki shikast lage

Ghazal

Nazar ki fath kabhi qalb ki shikast lage

Bekal Utsahi

;

nazar ki fath kabhi qalb ki shikast lage
meri hayat parae ka band-o-bast lage

na wo nuqush na husn-e-kashish ki baat rahi
sanam-farosh bhi jaise KHuda-parast lage

abhi mila tha abhi phir bichhaD gaya koi
ye hadsa bhi hikayat-e-bud-o-hast lage

farishte dekh rahe hain zamin o charKH ka rabt
ye fasla bhi to insan ki ek jast lage

wahan safine ko pahuncha diya hai tufan ne
har ek mauj-e-bala ab jahan se past lage

tere hi gham ne kisi samt dekhne na diya
ki ab hujum-e-tamanna bhi tang-dast lage

jo teri bazm se 'bekal' chala to hosh mein tha
ajib baat hai ab wo bhi mast mast lage