nazar jo aata hai bahar mein kab wo andar hun
main aadmi hun kahan aadmi ka paikar hun
raha jo bhiD mein bhi mushfiqon ki sar-afraaz
KHuda-gawah mein waisa hi ek masdar hun
safina koi salamat na rah sakega ab
qasam-KHuda-ki main biphra hua samundar hun
ye aur baat ki tum ko main yaad aa na saka
wagarna aaj bhi mahfil mein har zaban par hun
thi meri zat kabhi kaenat ka mehwar
hisar-e-zat mein lekin main aaj shashdar hun
dilon ke band dariche bhi jis se khul jaen
jo paDh sako to paDhe jao main wo mantar hun
jo paDh sake na mera chehra bhi wo KHud-bin tum
jo dard lamhon ka samjhe main wo qalandar hun
Ghazal
Nazar jo aata hai bahar mein kab wo andar hun
Alqama Shibli