nazar jin ki ulajh jati hai un ki zulf-e-pechan se
wahi baDh kar lipaT jate hain aksar mauj-e-tufan se
agar sharma raha hai mehr-e-taban husn-e-jaanan se
shafaq bhi to KHajil hai surKHi-e-KHun-e-shahidan se
mere josh-e-junun ko chheDta hai kis liye hamdam
uThengi aandhiyan lakhon ishaare hain bayaban se
Dubo kar dekh kashti-e-tamanna bahr-e-hasti mein
ubhar aaega KHud sahil kisi nau-KHez tufan se
mujhe marna mubarak bas tamanna hai to itni hai
bujha den wo charagh-e-zindagi KHud apne daman se
sambhal kar rahrawan-e-rah-e-ulfat saKHt manzil hai
sadaen aa rahi hain aaj tak gor-e-ghariban se
hujum-e-yas hi 'iqbaal' tamhid-e-masarrat hai
KHushi ka bab khulta to hai lekin gham ke unwan se
Ghazal
Nazar jin ki ulajh jati hai unki zulf-e-pechan se
Iqbal Husain Rizvi Iqbal