nazar jab se kisi ki mehrban malum hoti hai
ye duniya gulsitan-dar-gulsitan malum hoti hai
saza har jurm ki manzur hai mujh ko magar ye kya
ki har laghzish pe fitrat ham-zaban malum hoti hai
wahan apna safina le chali hun main Dubone ko
jahan har mauj bahr-e-be-karan malum hoti hai
gae wo din ki lutf aata tha kanTon se ulajhne mein
hansi bhi ab to phulon ki garan malum hoti hai
ye kis jannat mein le aaya hai paiman-e-wafa dil ko
ki har surat yahan aaram-e-jaan malum hoti hai
jo guzri hai kisi ke sath is umr-e-do-roza mein
wo saat naz-e-umr-e-jawedan malum hoti hai
Ghazal
Nazar jab se kisi ki mehrban malum hoti hai
Nazneen Begum Naz