nazar hai jalwa-e-jaanan hai dekhiye kya ho
shikast-e-ishq ka imkan hai dekhiye kya ho
abhi bahaar-e-guzishta ka gham miTa bhi nahin
phir ehtimam-e-bahaaran hai dekhiye kya ho
qadam uThe bhi nahin bazm-e-naz ki jaanib
KHayal abhi se pareshan hai dekhiye kya ho
kisi ki rah mein kanTe kisi ki rah mein phul
hamari rah mein tufan hai dekhiye kya ho
KHirad ka zor hai aaraish-e-gulistan par
junun harif-e-bahaaran hai dekhiye kya ho
jis ek shaKH pe buniyaad hai nasheman ki
wo ek shaKH bhi larzan hai dekhiye kya ho
hai aaj bazm mein phir izn-e-am saqi ka
'qamar' hunuz musalman hai dekhiye kya ho
Ghazal
Nazar hai jalwa-e-jaanan hai dekhiye kya ho
Qamar Moradabadi