اردو हिंदी
Nazar fareb-e-qaza kha gai to kya hoga | Shaahi Shayari
nazar fareb-e-qaza kha gai to kya hoga

Ghazal

Nazar fareb-e-qaza kha gai to kya hoga

Ehsan Danish

;

nazar fareb-e-qaza kha gai to kya hoga
hayat maut se Takra gai to kya hoga

ba-zom-e-hosh tajalli ki justuju be-sud
junun ki zad pe KHirad aa gai to kya hoga

nai sahar ke bahut log muntazir hain magar
nai sahar bhi jo kajla gai to kya hoga

na rahnumaon ki majlis mein le chalo mujh ko
main be-adab hun hansi aa gai to kya hoga

shabab-e-lal-o-gul ko pukarne walo
KHizan-sarisht bahaar aa gai to kya hoga

KHushi chhani hai to gham ka bhi e'timad na kar
jo ruh gham se bhi ukta gai to kya hoga

ye fikr kar ki in aasudgi ke dhokon mein
teri KHudi ko bhi maut aa gai to kya hoga

laraz rahe hain jigar jis se kohsaron ke
agar wo lahr yahan aa gai to kya hoga

wo maut jis ki hum 'ehsan' sun rahe hain KHabar
rumuz-e-zist bhi samjha gai to kya hoga