اردو हिंदी
Nazar bujhi to karishme bhi roz-o-shab ke gae | Shaahi Shayari
nazar bujhi to karishme bhi roz-o-shab ke gae

Ghazal

Nazar bujhi to karishme bhi roz-o-shab ke gae

Ahmad Faraz

;

nazar bujhi to karishme bhi roz-o-shab ke gae
ki ab talak nahin aae hain log jab ke gae

karega kaun teri bewafaiyon ka gila
yahi hai rasm-e-zamana to hum bhi ab ke gae

magar kisi ne hamein ham-safar nahin jaana
ye aur baat ki hum sath sath sab ke gae

ab aae ho to yahan kya hai dekhne ke liye
ye shahr kab se hai viran wo log kab ke gae

girafta-dil the magar hausla na haara tha
girafta-dil mein magar hausle bhi ab ke gae

tum apni sham-e-tamanna ko ro rahe ho 'faraaz'
in aandhiyon mein to pyare charagh sab ke gae