nazar bhi aaya to KHud se chhupa liya main ne
ye kaun hai jise apna bana liya main ne
tumhaara lams chhupa hai badan ki parton mein
chhua jo KHud ko laga tum ko pa liya main ne
usi ke samne jo rahmaton ka malik hai
shikayaton ko dua mein mila liya main ne
na kuchh dawa ki zarurat na chaara-gar ki talash
ye rog kaun sa dil ko laga liya main ne
jhulas gaya hun jala hun dhuan dhuan ho kar
andheri raat se tum ko bacha liya main ne
wo milne-julne ke mausam guzar gae kab ke
mila jo koi gale se laga liya main ne
tumhaare sach ki hifazat mein yun hua akasr
ki apne-ap ko jhuTa bana liya main ne
Ghazal
Nazar bhi aaya to KHud se chhupa liya maine
Sarfraz Nawaz