nazar bacha ke wo hum se guzar gae chup-chap
abhi yahin the na jaane kidhar gae chup-chap
hui KHabar bhi na hum ko kab aae aur gae
nigah-e-naz se dil mein utar gae chup-chap
dikhai ek jhalak aur ho gae ru-posh
tamam KHwab achanak bikhar gae chup-chap
ye dekhne ke liye muntazir hain kya wo bhi
dayar-e-shauq mein hum bhi Thahar gae chup-chap
karenge aisa wo is ka na tha hamein ehsas
wo qaul-o-feal se apne mukar gae chup-chap
fasil-e-shahr ke bahar nahin kisi ko KHabar
bahut se ahl-e-hunar yunhi mar gae chup-chap
dikha rahe the hamein sabz bagh wo ab tak
unhen jo karna tha 'barqi' wo kar gae chup-chap
Ghazal
Nazar bacha ke wo humse guzar gae chup-chap
Ahmad Ali Barqi Azmi