nazar aaya na koi bhi idhar dekha udhar dekha
wahan pahunche to apne aap ko bhi be-nazar dekha
ye dhoka tha nazar ka ya farishta sabz chadar mein
kahin sahra mein lahraata hua us ne shajar dekha
kahin pe jism aur pahchan donon rah mein chhoDe
KHud apne aap ko hum ne na apna ham-safar dekha
bane kya aashiyan taza hawa na peD ke jhurmuT
kisi uDte parinde ne nae yug ka nagar dekha
lage the aaine chaaron taraf shayad mohabbat ke
nazar ke samne tha bas wahi hum ne jidhar dekha
zamin ki sej par sae ki chadar oDh kar soya
kisi banjare sailani ne raste mein hi ghar dekha
kabhi hum Dub jaenge isi mein sochte har dam
hamare dil ne jab dekha hababon ka bhanwar dekha
Ghazal
Nazar aaya na koi bhi idhar dekha udhar dekha
Deepak Qamar