اردو हिंदी
Nazar aa rahe hain jo tanha se hum | Shaahi Shayari
nazar aa rahe hain jo tanha se hum

Ghazal

Nazar aa rahe hain jo tanha se hum

Ajmal Siraj

;

nazar aa rahe hain jo tanha se hum
so yun hai ki bhar pae duniya se hum

na parwa hamein haal-e-behaal ki
na sharminda umr-e-guzishta se hum

bhala koi karta hai murdon se baat
kahen kya dil-e-be-tamanna se hum

nazar mein hai jab se sarapa tera
jabhi se hain kuchh be-sar-o-pa se hum

koi jal-pari kya pari bhi na aai
magar KHush hue raat dariya se hum

tamashai shash-jihat hain so hain
KHud apne liye bhi tamasha se hum

samajhna tha duniya ko yun bhi muhaal
samajhte the duniya ko duniya se hum