nazzargi-e-shauq ne didar mein khincha
phir main ne use apne hawas-zar mein khincha
khulti nazar aati hai qaba-e-gul-e-maqsad
ehsas-e-talab ne jo use KHar mein khincha
hai didani gul-kari-e-ehsas-o-taKHayyul
kya aariz-e-gul ko lab-e-izhaar mein khincha
taswir si ek ban gai kya jaaniye kis ki
qatron ne nam apna meri diwar mein khincha
ta-hadd-e-nazar khulti gai zulf-e-do-alam
ehsas ye kis ka dil-e-bedar mein khincha
Ghazal
Nazargi-e-shauq ne didar mein khincha
Taleef Haidar