naza mein gar meri baalin pe tu aaya hota
is tarah ashk main aankhon mein na laya hota
mere KHurshid na hota ye mera roz-e-siyah
tu ne gar zulf mein mukhDa na chhupaya hota
bagh-e-jannat mein bhi kya KHub guzarti meri
wan bhi sar par jo teri zulf ka saya hota
naseha chaak-e-gareban ke silane se husul
chaak aankhon ka meri tu ne silaya hota
phul paDta na 'KHaliq' aatish-e-gul se us par
aashiyan hum ne Tuk uncha jo banaya hota
Ghazal
Naza mein gar meri baalin pe tu aaya hota
Meer Mustahsan Khaleeq