اردو हिंदी
Nayan mein KHun bhar aaya dil mein Khaar-e-gham chhupa shayad | Shaahi Shayari
nayan mein KHun bhar aaya dil mein Khaar-e-gham chhupa shayad

Ghazal

Nayan mein KHun bhar aaya dil mein Khaar-e-gham chhupa shayad

Wali Uzlat

;

nayan mein KHun bhar aaya dil mein KHar-e-gham chhupa shayad
hua is dam wo tegh-abru kisi se aashna shayad

gale lagta tha har gard-e-hawa-awurd se majnun
ki KHak-e-kucha-e-laila le aai ho saba shayad

qayamat pa-namak hai ghul diwanon ka gulistan mein
unhon ke zaKHm-e-dil par shor-e-bulbul ja gira shayad

hamare hath ek mu gai nain aur pech khati hai
wo dam-e-zulf mein taza shikar-e-dil phansa shayad

bahut munh par wo zulfen aaj bikhraata hai ai 'uzlat'
wo galon par kisi ka zaKHm-e-dandan hai laga shayad