naya shagufa ishaara-e-yar par khila hai
gulab ab ke chaman ki diwar par khila hai
ye kaisi angDai li hai ehsas-e-zindagi ne
masih ka rang ru-e-bimar par khila hai
nafi ka jadu jaga rahi hain tilismi aankhen
wo harf-e-matlab fasil-e-izhaar par khila hai
kitab-e-ruKH hai hijab-e-taqdis-e-husn-e-jaanan
ye raaz kaisa mazaq-e-didar par khila hai
bahaar-agin hayat-afroz phul ban kar
lahu ka chhinTa qaba-e-isar par khila hai
mujhe banaya gaya tha KHamoshiyon ka paikar
ye ghuncha-e-lab kisi ke israr par khila hai
'saba' ka zauq-e-suKHan nigar-e-ghazal ke haq mein
wo kala til hai jo gore ruKHsar par khila hai
Ghazal
Naya shagufa ishaara-e-yar par khila hai
Saba Naqvi