اردو हिंदी
Naya sauda naya dard-e-nihani le ke aaya hun | Shaahi Shayari
naya sauda naya dard-e-nihani le ke aaya hun

Ghazal

Naya sauda naya dard-e-nihani le ke aaya hun

Jaleel Manikpuri

;

naya sauda naya dard-e-nihani le ke aaya hun
nai us bazm se main zindagani le ke aaya hun

kuchh apni na-tawani kuchh tera pas-e-nazakat tha
nigahon mein mohabbat ki kahani le ke aaya hun

tere jalwe ke nazzare ko KHali hath kya aata
luTane ko bahaar-e-naujawani le ke aaya hun

labon par mohr-e-KHamoshi hai aankhen DabDabai hain
asar-andaz apni be-zabani le ke aaya hun

KHuda-malum qasid kya sunae dil dhaDakta hai
ye kahta hai ki paigham-e-zabani le ke aaya hun

mizha par garm garm aansu labon par sard sard aahen
fasana dard ka gham ki kahani le ke aaya hun

sarishk-e-KHun dil-e-pur-dagh afsurda tamannaen
azal se ye mataa-e-zindagani le ke aaya hun

maqam-e-KHizr tha ya mai-kada tha kya kahun kya tha
jahan se main hayat-e-jawedani le ke aaya hun

'jalil' abr-e-siyah kya jhumta hai sabza-zaron par
ye kahta hai ki aab-e-zindagani le ke aaya hun