naya lahja ghazal ka misra-e-sani mein rakkha hai
hua ko muTThiyon mein aag ko pani mein rakkha hai
na jaane kya samajh kar chakh liya tha dana-e-gandum
abhi ek bhul ne ab tak pashemani mein rakkha hai
watan se dur hun mein rizq ki KHatir mere maula
magar basti ko teri hi nigahbani mein rakkha hai
safar mein bhi daramai anasir kaam aae hain
zaban ki chashni se sab ko hairani mein rakkha hai
ghazal kahne ka mausam 'qasmi' ab ho gaya ruKHsat
sukun-e-qalb to us ki sana-KHwani mein rakkha hai
mohazzab shahr ke lambe safar se luT aaya hun
saliqa zindagi ka ghar ki virani mein rakkha hai
Ghazal
Naya lahja ghazal ka misra-e-sani mein rakkha hai
Shamim Qasmi