اردو हिंदी
Naya hai shahr nae aasre talash karun | Shaahi Shayari
naya hai shahr nae aasre talash karun

Ghazal

Naya hai shahr nae aasre talash karun

Mohsin Naqvi

;

naya hai shahr nae aasre talash karun
tu kho gaya hai kahan ab tujhe talash karun

jo dasht mein bhi jalate the fasl-e-gul ke charagh
main shahr mein bhi wahi aable talash karun

tu aks hai to kabhi meri chashm-e-tar mein utar
tere liye main kahan aaine talash karun

tujhe hawas ki aawargi ka ilm kahan
kabhi main tujh ko tere samne talash karun

ghazal kahun kabhi sada se KHat likhun us ko
udas dil ke liye mashghale talash karun

mere wajud se shayad mile suragh tera
kabhi main KHud ko tere waste talash karun

main chup rahun kabhi be-wajh hans paDun 'mohsin'
use ganwa ke ajab hausle talash karun