nawah-e-wusat-e-maidan mein hairani bahut hai
dilon mein is KHarabi se pareshani bahut hai
kahan se hai kahan tak hai KHabar is ki nahin milti
ye duniya apne phailaw mein an-jaani bahut hai
baDi mushkil se ye jaana ki hijr-e-yar mein rahna
bahut mushkil hai par aaKHir mein aasani bahut hai
basar jitni hui bekar o be-manzil zamane mein
mujhe is zindagani par pashemani bahut hai
nikal aate hain raste KHud-ba-KHud jab kuchh na hota ho
ki mushkil mein hamein KHwabon ki arzani bahut hai
bahut raunaq hai bazaron mein galiyon aur mohallon mein
par is raunaq se shahr-e-dil mein virani bahut hai
Ghazal
Nawah-e-wusat-e-maidan mein hairani bahut hai
Muneer Niyazi