nawah-e-shauq mein hai ek dayar-e-nikhat-e-gul
zamin pe gul hain faza mein ghubar-e-nikhat-e-gul
ye shahr-e-gul-badnan sair-gah-e-husn-e-tamam
kahin hai nahr kahin aabshaar-e-nikhat-e-gul
nasim-e-subh bhi leti hai yan pe izn-e-KHiram
hai ye maqam maqam-e-qarar-e-nikhat-e-gul
guman ye hai kahin diwar-e-rang TuT na jae
hisar-e-rang pe hai wo fishaar-e-nikhat-e-gul
yahan ke murghan-e-KHush-ilhan-o-mehr-e-zar-afshan
hain nur-o-naghma yahan ham-kanar-e-nikhat-o-gul
yahan ki qaus-e-quzah ko mila hai izn-e-dawam
bahaar-e-rang dalil-e-bahaar-e-nikhat-e-gul
ufuq pe nur ka dariya hai rang ki kashti
hai intizar mein kis ke nigar-e-nikhat-e-gul
kise KHabar hai ki 'baqar' fida-e-husn-e-bahaar
yahin kahin hai gharib-e-dayar-e-nikhat-e-gul

Ghazal
Nawah-e-shauq mein hai ek dayar-e-nikhat-e-gul
Sajjad Baqar Rizvi