اردو हिंदी
Nawah-e-jaan mein ajab hadisa hua ab ke | Shaahi Shayari
nawah-e-jaan mein ajab hadisa hua ab ke

Ghazal

Nawah-e-jaan mein ajab hadisa hua ab ke

Qamar Siddiqi

;

nawah-e-jaan mein ajab hadisa hua ab ke
badan ka sara asasa bikhar gaya ab ke

zawal aa gaya rishton ke chand-suraj ko
wo bhi KHamosh tha aur main bhi chup raha ab ke

aur us ne DhunD liya koi saeban naya
tamam raat main hi bhigta raha ab ke

ye dur dur yazidi ki jaise hai tausia
machi hai chaaron-taraf phir se karbala ab ke

mujhe talash karo tum ufuq ke pas kahin
zamin se TuT gaya mera rabta ab ke

wo kohar kohar se chehre dhuan dhuan si faza
'qamar' main kaise koi KHwab dekhta ab ke