nawa-e-haq pe hun qatil ka Dar aziz nahin
paDe jihad to apna bhi sar aziz nahin
paDa hua hun sar-e-rahguzar to rahne de
teri gali se ziyaada to ghar aziz nahin
faqir-e-shahr ko lal-o-guhar se kya nisbat
mere aziz mujhe mal-o-zar aziz nahin
phalon ko luT ke le jao peD mat kaTo
shajar aziz hai mujh ko samar aziz nahin
wo log hum se alag apna rasta kar len
ki jin ko shahr-e-wafa ka safar aziz nahin
bahut aziz hain mujh ko mohabbaten lekin
mohabbaton mein siyasat 'zafar' aziz nahin
Ghazal
Nawa-e-haq pe hun qatil ka Dar aziz nahin
Zafar Kaleem