nawa-e-dil ne karishme dikhae hain kya kya
meri azan ne namazi jagae hain kya kya
jamal-e-yar teri aab-o-tab kya kahiye
nazar nazar pe qadam Dagmagae hain kya kya
ada-e-naz ko andaz-e-dilbari samjhe
fareb ahl-e-mohabbat ne khae hain kya kya
zamin zamin na rahi aur falak falak na raha
maqam-o-waqt bhi gardish mein aae hain kya kya
wo teri shoKH-nigahi wo teri KHanda-labi
dil-e-gharib pe charke lagae hain kya kya
kabhi KHulus-e-mohabbat kabhi gurez-o-farar
bana bana ke muqaddar miTae hain kya kya
kabhi to dekh ki meri tabah-haali par
hayat-o-maut ne aansu bahae hain kya kya
hai aaj KHun-e-tamanna to kal ummid ki maut
dil-e-hazin ne janaze uThae hain kya kya
nigah-e-'qais' teri dastaras ko man gae
kahan kahan se mazamin churae hain kya kya

Ghazal
Nawa-e-dil ne karishme dikhae hain kya kya
Raj Kumar Qais