اردو हिंदी
Naujawani mein ajab dil ki lagi hoti hai | Shaahi Shayari
naujawani mein ajab dil ki lagi hoti hai

Ghazal

Naujawani mein ajab dil ki lagi hoti hai

Afzal Peshawari

;

naujawani mein ajab dil ki lagi hoti hai
gham ke sahne mein bhi insan ko KHushi hoti hai

pyar jab pyar ki manzil pe pahunch jata hai
hanste chehron ke bhi aankhon mein nami hoti hai

pas rahte hain to dil mahw-e-tarab rahta hai
dur hote hain to mahsus kami hoti hai

jab bhi hota hai guman un se kahin milne ka
dil ke armanon mein ek dhum machi hoti hai

nama-bar se na kahun baat to phir faeda kya
aur kah dun to teri parda-dari hoti hai

jab bhi to mere tasawwur mein makin hota hai
dil ki duniya tere jalwon se saji hoti hai

kaj-adai ho sitam ho ki hon altaf-o-karam
apne mahbub ki har chiz bhali hoti hai

kya bataun main tere jism ki rangini ko
jaise saghar mein mai-e-nab Dhali hoti hai

un ke aane se sukun aane laga hai 'afzal'
aaj kuchh dard mein mahsus kami hoti hai