naujawan log pajame ko bura kahte hain 
painT phaT jae to qismat ka likha kahte hain 
apne ashaar mein juma ko juma kahte hain 
aise ustad ko faKHrushshuara kahte hain 
nazm ko gift rubai ko ata kahte hain 
sher wo KHud nahin kahte hain chacha kahte hain 
i-m-f ko samajhte hain maishat ka ilaj 
log al-kuhl ko khansi ki dawa kahte hain 
ye to chalti nahin p-m ki ijazat ke baghair 
is ko aiwan-e-sadarat ki hawa kahte hain 
jaane kab is mein hamein aag lagani paD jae 
hum siyasat ke janaze ko chita kahte hain 
jab se bachchon ko pasand aai hain hindi filmen 
mujh ko abba nahin kahte wo pita kahte hain 
meri bari pe hukumat hi badal jati hai 
ab wazarat ko ghubare ki hawa kahte hain 
load-shedding ki shikayat pe dolatti mare 
log bijli ke minister ko gadha kahte hain 
bhuk taKHliq ka talent baDha deti hai 
peT KHali ho to hum sher naya kahte hain
        Ghazal
Naujawan log pajame ko bura kahte hain
Khalid Irfan

