اردو हिंदी
Nauhagar se na kisi aaina-KHane se hui | Shaahi Shayari
nauhagar se na kisi aaina-KHane se hui

Ghazal

Nauhagar se na kisi aaina-KHane se hui

Moin Najmi

;

nauhagar se na kisi aaina-KHane se hui
mo'tabar zat meri mere zamane se hui

rang kya kya na bhare husn-e-nazar ne lekin
teri taswir mukammal tere aane se hui

qadr-o-qimat in andheron ki na puchho mujh se
raushni ghar mein charaghon ke jalane se hui

raste ka koi patthar nahin pahchan bana
jitni tashhir hui KHak uDane se hui

mutmain mar ke hua karta hai jine wala
jab bhi kam bhuk hui Thokaren khane se hui

katranen joD ke tayyar kiya apna libas
izzat-e-faqr faqiri ko chhupane se hui

jab baDhi had se KHushi bhig gai hain aankhen
gham ki tahrik hamein jashn manane se hui

itna gham pyas ka apni nahin 'najmi' ne kiya
jitni taskin koi aag bujhane se hui