naubat-e-giriya o be-tabi-o-zari aai
baDe hangame se kal yaad tumhaari aai
naza mein bhi wo yahan tak nahin aane deta
ai KHuda ghair ko aa jae hamari aai
un ko tashbih masiha se jo di wo bole
aaj malum hua maut tumhaari aai
kis taraf aae kidhar bhul paDe KHair to hai
aaj kya tha jo tumhein yaad hamari aai
nala-e-bulbul-e-shaida to suna hans hans kar
ab jigar tham ke baiTho meri bai aai
Ghazal
Naubat-e-giriya o be-tabi-o-zari aai
Lala Madhav Ram Jauhar