اردو हिंदी
Naubat apni to jaan tak pahunchi | Shaahi Shayari
naubat apni to jaan tak pahunchi

Ghazal

Naubat apni to jaan tak pahunchi

Joshish Azimabadi

;

naubat apni to jaan tak pahunchi
haif us ke na kan tak pahunchi

dil ke TukDe hain ye sitare na hon
aah lai aasman tak pahunchi

hai wo aazurda baat shikwe ki
kya kisi mehrban tak pahunchi

muft farsuda hui ye peshani
na tere aastan tak pahunchi

dushmani mujh se teri tegh ne ki
dosti imtihan tak pahunchi

aatish-e-ishq ne jo sar khincha
husn ke dudman tak pahunchi

bar-e-gham jab kisi se uTh na saka
naubat is na-tawan tak pahunchi

tere maqtul ka hai kaam tamam
karwan ustuKHwan tak pahunchi

aatish-e-gul se jalti misl-e-sharar
andalib aashiyan tak pahunchi

koi sar-gashta yaad aa hi gaya
tegh us ki jo san tak pahunchi

dekhte us ko mahw the 'joshish'
kab shikayat zaban tak pahunchi