اردو हिंदी
Nau-giraftar-e-mohabbat kabhi aazad na ho | Shaahi Shayari
nau-giraftar-e-mohabbat kabhi aazad na ho

Ghazal

Nau-giraftar-e-mohabbat kabhi aazad na ho

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

;

nau-giraftar-e-mohabbat kabhi aazad na ho
qaid mein qaid rahe qaid ki miad na ho

main to KHamosh rahun hijr mein Dar hai lekin
dard uTh kar kahin aamada-e-fariyaad na ho

tum mein pinhan hain mohabbat ke hazaron jalwe
ai meri KHak ke zarro kahin barbaad na ho

kuchh hain bikhre hue par kunj-e-qafas ke bahar
KHauf hai aur bhi ruswa kahin sayyaad na ho

phuT kar kis ke ye rone ki sada aati hai
dard-e-ulfat kahin mera dil-e-nashad na ho

dil ki iza-talabi puchh lun kya kahti hai
Thahro Thahro abhi dam-bhar koi bedad na ho

'shauq' kar dun jo bayan kawish-e-gham ki haalat
apna qissa bhi kam-az qissa-e-farhad na ho