اردو हिंदी
Nau-ba-nau ye jalwa-zai ye jamal-e-rang-rang | Shaahi Shayari
nau-ba-nau ye jalwa-zai ye jamal-e-rang-rang

Ghazal

Nau-ba-nau ye jalwa-zai ye jamal-e-rang-rang

Hameed Naseem

;

nau-ba-nau ye jalwa-zai ye jamal-e-rang-rang
mohlat-e-dil ek lahza daman-e-nazzara tang

hai kahan wo aag jo raushan rakhe dil ka alaw
barq-jaulan mahz chashmak shoala-e-gul mahz rang

ai junun tir-e-malamat ka koi unwan nikal
kaisa chipka hai badan par friqa-e-namus-o-nang

ab ye us ka azm tai kar le jo rah-e-arzu
har-qadam dam-e-tahayyur har-qadam diwar-e-sang

aaj dekha sab ne qatil ki tahi-dasti ka haal
sail-e-KHun-e-ashiqan mein bah gae shamshir-o-sang