natija dekhiye kuchh din mein kya se kya nikal aaya
kahin pe bij boya tha kahin paudha nikal aaya
raqam hai jis pe mere aaba-o-ajdad ka shajara
mere ghar ki khudai mein wahi katba nikal aaya
suna hai aaj sab uryan nazar aaenge saDkon par
main apne ghar se ban kar aaj na-bina nikal aaya
kuchh aise zawiye se aaj suraj ne hukumat ki
ke mere jism ke saye ka bhi saya nikal aaya
asa jab hazrat-e-musa ne mara bahte pani par
to pani phaT gaya aur samne rasta nikal aaya
ai sapnon ke parindon hijraton se rok lo KHud ko
meri aankhon ke registan mein chashma nikal aaya
teri nazron ke auzaron ne mere jism-e-KHaki ka
jigar khoda to TuTe dil ka kuchh malba nikal aaya
tu wo kam-zarf jo har dar pe daman ko pasare hai
main wo KHuddar jo dariya se bhi pyasa nikal aaya
Ghazal
Natija dekhiye kuchh din mein kya se kya nikal aaya
Nawaz Asimi