nasim-e-subh yun le kar tera paigham aati hai
pari jaise koi hathon mein le kar jam aati hai
wo manzar bhi kabhi dekha hai ahl-e-karwan tum ne
umanD kar jab kisi bichhDe hue par sham aati hai
yahan ab na-tawani se qadam bhi uTh nahin sakte
idhar mahfil se saqi ki sala-e-am aati hai
kisi ka KHun-e-dil khinch kar Tapak jata hai aankhon se
kisi ki aankh mein khinch kar mai-e-gulfam aati hai
muqaddar ka sitara-gar na ho raKHshanda ai 'wasif'
na himmat sath deti hai na hikmat kaam aati hai

Ghazal
Nasim-e-subh yun le kar tera paigham aati hai
Wasif Dehlvi