nasim-e-subh-e-chaman se idhar nahin aati
hazar haif ki gul ki KHabar nahin aati
rakkhe hai aaina kya munh pe mere ai hamdam
ki zindagi mujhe apni nazar nahin aati
bhaTakti phirti hai laila sawar naqe par
jidhar hai wadi-e-majnun udhar nahin aati
kamar hi ko teri parwa nahin hai kuchh us ki
wagarna jad to kab ta-kamar nahin aati
teri shabih mere samne khaDi hai miyan
haya ke mare wale peshtar nahin aati
hua hun aah main jis pur-ghurur par aashiq
kaniz us ki kabhi mere ghar nahin aati
qalaq se hoti hai kuchh dil ki mere ye haalat
ki nind raat ko do do pahar nahin aati
shab-e-visal kab aati hai mere ghar ai charKH
ki us ke pichhe se dauDi sahar nahin aati
gaya hai gham mere name ko le ke kuchh aisa
ki aaj tak KHabar nama bar nahin aati
KHiram fitna-e-roz-e-jaza ba-in shoKHi
tere KHiram ke ohde se bar nahin aati
main tark-e-ishq ko kahta hun 'mushafi' tujh se
ye baat dhyan mein tere magar nahin aati
Ghazal
Nasim-e-subh-e-chaman se idhar nahin aati
Mushafi Ghulam Hamdani