nasihat se meri ye sau kos bhage
tilangon ki haq mein jaise bhutiya hai
main baiThun zamin par ye baiThe saman par
kuja taKHt-e-shahi kuja boriya hai
karen ja-ba-ja log par ka kabutar
har ek baat ka mach raha tutiya hai
zamane ka ye haal aur dil ka ye haal
kaho kis tarah rahti sharam aur haya hai
bhanwar bich gham ke main Dalon aur uchhlun
ye kahta hai mujh se ki tu marjiya hai
main sau sau dafa tera phaDa gareban
bata tu ne kis se waste phir siya hai
tu hai maut ka Dher mat bol mujh se
amar hun main ne aab aab-e-haiwan piya hai
mere sani nai hai koi ab jahan mein
falak ke kanguron ko main ne chhiya hai
KHuda hun sada aashiqi par main usi ki
wo jo qais sahra mein ek ho gaya hai
KHuda ki taraf jin ne dil ko lagaya
hua faz us ke se wo ambiya hai
mere ji mein aawegi so hi karunga
main muKHtar hun mera karam KHurda hai
sunen dal ke munh se main jab aisi baaten
KHuda shahid hai main ne ro ro diya hai
phir aaKHir ho lachaar mein haar baiTha
ye laDne ke tain mir KHan Thokiya hai
kahun kya kya yaro main dil ke tamashe
ye to swang lane ko bahrupiya hai
na bik aage ab 'nayan' KHamosh ho ra
ye dil hai tera yar langoTiya hai
Ghazal
Nasihat se meri ye sau kos bhage
nayan sukh