nasibon se koi gar mil gaya hai
to pahle us pe apna dil gaya hai
karega yaad kya qatil ko apne
taDapta yan se jo bismil gaya hai
lage hain zaKHm kis ki tegh ke ye
ki jaise phuT sina khul gaya hai
KHuda ke waste us ko na lao
abhi to yan se wo qatil gaya hai
koi majnun se Tuk jhuTe hi kah de
ki laila ka abhi mahmil gaya hai
agar Tuk ki hai hum ne jumbish us ko
pahaD apni jagah se hil gaya hai
koi ai 'mushafi' us se ye kah de
dua deta tujhe sail gaya hai
Ghazal
Nasibon se koi gar mil gaya hai
Mushafi Ghulam Hamdani