nasib-e-ishq masarrat kabhi nahin hoti
ye bazm wo hai jahan raushni nahin hoti
jabin-e-ishq ke sajde qubul hote hain
mizaj-e-husn mein jab barhami nahin hoti
samajh chuke hain asiri ko hum payam-e-ajal
ki zindagi-e-qafas zindagi nahin hoti
mere baghair unhen kaun jaan sakta hai
wo yun guzarte hain aawaz bhi nahin hoti
tera sitam bhi to hai ek pursish-e-KHamosh
teri nigah kabhi ajnabi nahin hoti
baDhe chalo yahi waraftagi ki manzil hai
rah-e-talab mein kabhi sham hi nahin hoti
dil ek aatish-e-KHamosh hi sahi lekin
tumhaari yaad mein koi kami nahin hoti
meri nazar mein yaqinan wo nang-e-gulshan hai
amin-e-raaz-e-chaman jo kali nahin hoti
mili hai rah-e-talab mein 'mushir' sirf mujhe
wo zindagi jo kabhi zindagi nahin hoti
Ghazal
Nasib-e-ishq masarrat kabhi nahin hoti
Mushir Jhanjhanvi