nasib-e-ishq dil-e-be-qarar bhi to nahin
bahut dinon se tera intizar bhi to nahin
talafi-e-sitam-e-rozgar kaun kare
tu ham-suKHan bhi nahin raaz-dar bhi to nahin
zamana pursish-e-gham bhi kare to kya hasil
ki tera gham gham-e-lail-o-nihaar bhi to nahin
teri nigah-e-taghaful ko kaun samjhae
ki apne dil pe mujhe iKHtiyar bhi to nahin
tu hi bata ki teri KHamushi ko kya samjhun
teri nigah se kuchh aashkar bhi to nahin
wafa nahin na sahi rasm-o-rah kya kam hai
teri nazar ka magar e'tibar bhi to nahin
agarche dil teri manzil na ban saka ai dost
magar charagh-e-sar-e-rahguzar bhi to nahin
bahut fasurda hai dil kaun is ko bahlae
udas bhi to nahin be-qarar bhi to nahin
tu hi bata tere be-KHanuman kidhar jaen
ki rah mein shajar saya-dar bhi to nahin
falak ne phenk diya barg-e-gul ki chhanw se dur
wahan paDe hain jahan KHar-zar bhi to nahin
jo zindagi hai to bas tere dard-mandon ki
ye jabr bhi to nahin iKHtiyar bhi to nahin
wafa zariya-e-izhaar-e-gham sahi 'nasir'
ye karobar koi karobar bhi to nahin
Ghazal
Nasib-e-ishq dil-e-be-qarar bhi to nahin
Nasir Kazmi