nasib apna zara aazma ke dekhenge
charagh-e-shauq hawa mein jala ke dekhenge
machal machal ke kahan tak ye barq girti hai
chaman mein phir se nasheman bana ke dekhenge
falak ko zid hai ki hum ko rula ke dekhega
hamein ye zid hai use muskura ke dekhenge
jhukae baiThe hain ab un ke dar pe sar apna
kabhi to wo hamein aankhen uTha ke dekhenge
mile sakun dil-e-muztar ko wo jagah hai kahan
jahan-e-gham se bhi hum dur ja ke dekhenge
wo bach ke jaenge kab tak nazar se ai 'afat'
hum apne dil mein ab un ko basa ke dekhenge

Ghazal
Nasib apna zara aazma ke dekhenge
Lalan Chaudhary