اردو हिंदी
Nashshe mein chashm-e-naz jo hansti nazar paDi | Shaahi Shayari
nashshe mein chashm-e-naz jo hansti nazar paDi

Ghazal

Nashshe mein chashm-e-naz jo hansti nazar paDi

Jafar Tahir

;

nashshe mein chashm-e-naz jo hansti nazar paDi
taswir-e-hoshiyari-o-masti nazar paDi

lahrai ek bar wo zulf-e-KHirad-shikar
koi na phir bulandi-o-pasti nazar paDi

uTThi thi pahli bar jidhar chashm-e-arzu
wo log phir mile na wo basti nazar paDi

husn-e-butan to aaina-e-husn-e-zat hai
zahid ko us mein kufr-parasti nazar paDi

yarab kabhi tu bul-hawason ko bhi de saza
mana hamari jaan to sasti nazar paDi

su-e-chaman gae the bahaaran samajh ke hum
dekha to ek aag-parasti nazar paDi

kaisi saba kahan ki nasim-e-chaman na puchh
nagin si phul phul ko Dasti nazar paDi

muddat ke baad apni taraf phir gaya KHayal
tum kya mile ki surat-e-hasti nazar paDi

shabnam ki bund bund ne hans hans ke jaan di
'tahir' kiran kiran bhi tarasti nazar paDi