nashsha karne ka bahana ho gaya
jab zara mausam suhana ho gaya
tujh se milna to kuja ai jaan-e-jaan
tujh ko dekhe ab zamana ho gaya
muD ke dekha jab bhi pichhe ki taraf
aaj dhundla kal fasana ho gaya
gulsitan-zade bahut hi shad hain
jab se zindan mein Thikana ho gaya
jit haq ki zalimon ke waste
KHun bahane ka bahana ho gaya
sach likhunga chahe miT jaun 'hanif'
jhuT ab mera nishana ho gaya
Ghazal
Nashsha karne ka bahana ho gaya
Hanif Tarin