اردو हिंदी
Nashsha-e-shauq hai fuzun shab ko abhi sahar na kar | Shaahi Shayari
nashsha-e-shauq hai fuzun shab ko abhi sahar na kar

Ghazal

Nashsha-e-shauq hai fuzun shab ko abhi sahar na kar

Majeed Akhtar

;

nashsha-e-shauq hai fuzun shab ko abhi sahar na kar
dekh hadish-e-dil-baran itni bhi muKHtasar na kar

sara hisab-e-jaan-o-dil rakkha hai tere samne
chahe to de aman mujhe chahe to darguzar na kar

apnon se haar jit ka kaise karega faisla
ai mere dil Thahar zara ye jo muhim hai sar na kar

us ka ye husn wahm hai tera ye ishq hai guman
itna yaqin dil mere wahm-o-guman par na kar

hijrat-e-nau ka masala baDhte qadam na rok le
so meri jaan safar mein rah dar-e-fana mein ghar na kar

itna to waqt de kabhi KHud se karun mukalima
ai meri umr-e-tez-rau aise mujhe basar na kar

meri uDan hai mare rabb-e-karim ki ata
yun mere zid mein muntashir apne ye baal-o-par na kar