اردو हिंदी
Nashe mein hun magar aaluda-e-sharab nahin | Shaahi Shayari
nashe mein hun magar aaluda-e-sharab nahin

Ghazal

Nashe mein hun magar aaluda-e-sharab nahin

Jagan Nath Azad

;

nashe mein hun magar aaluda-e-sharab nahin
KHarab hun magar itna bhi main KHarab nahin

kahin bhi husn ka chehra tah-e-naqab nahin
ye apna dida-e-dil hai ki be-hijab nahin

wo ek bashar hai koi nur-e-aftab nahin
main kya karun ki mujhe dekhne ki tab nahin

ye jis ne meri nigahon mein ungliyan bhar din
to phir ye kya hai agar ye tera shabab nahin

mere surur se andaza-e-sharab na kar
mera surur ba-andaza-e-sharab nahin