nashat-e-dard ke mausam mein gar nami kam hai
faza ke barg-e-shafaq par bhi tazgi kam hai
sarab ban ke KHalaon mein gum nazara-e-samt
mujhe laga ki KHalaon mein raushni kam hai
ajib log hain kanTon pe phul rakhte hain
ye jaante hue in mein muqaddari kam hai
na koi KHwab na yaadon ka be-karan sa hujum
udas raat ke KHeme mein dilkashi kam hai
main apne-ap mein bikhra hua hun muddat se
agar main KHud ko sameTun to zindagi kam hai
khuli chhaton pe dupaTTe hawa mein uDte nahin
tumhaare shahr mein kya aasman bhi kam hai
purani soch ko samjhen to koi baat bane
jadid fikr mein ehsas-e-naghmagi kam hai
kahan se laoge ai 'rind' mo'tabar mazmun
ghazal mein jabki riwayat ki chashni kam hai
Ghazal
Nashat-e-dard ke mausam mein gar nami kam hai
P P Srivastava Rind