nasha nashe ke liye hai azab mein shamil
kisi ki yaad ko kije sharab mein shamil
har ek talash yahan faslon se raushan hai
haqiqaten kahan hoti hain KHwab mein shamil
wo tum nahin ho to phir kaun tha wo tum jaisa
kisi ka zikr to tha har kitab mein shamil
hamein bhi shauq hai apni taraf se jine ka
hamara nam bhi kije itab mein shamil
akele kamre mein gul-dan bolte kab hain
tumhaare honT hain shayad gulab mein shamil
zamin rose kahan moajiza dikhati hai
meri nigah bhi hogi naqab mein shamil
usi ka nam hai naghma usi ka nam ghazal
wo ek sukun jo hai iztirab mein shamil
Ghazal
Nasha nashe ke liye hai azab mein shamil
Nida Fazli